| Ques. ID | 1528 | |
| Question | Q.1: kia tashood main ali un waliullah kehna sahi hy ya nahi. | |
| Country | karachi - pakistan | |
| Answer | ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi. REF: A.Sistani, www.sistani.org. | |
| Topic | Namaz kay Aihkaam | |
| Mujtahid | Aayat-ul-Allah Seestani | |
| Answered By | Quran-o-Itrat Academy | |
| Ques. ID | 1510 | |
| Question | mera sawal hay k aurat ki namaz main (farz namaz main) 2 rakato k baad teesri rakat main sana nahi parhain aur alhamdo k baad koi surat nahi parhtain hain aur teesri aur chothi rakat main ? | |
| Country | delhi - india | |
| Answer | Aihtiyaat ki bina par mard aur aurat dono par wajib hay kay namaz ki teesri aur chothi rakat main chahain to sirf sura-e-alhamd ya sirf tasbeehaat-e-arbaa parhain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.994.Albatta in do rakatoo main Tasbeehaate Arbaa parhna ziada behtar hay.aur Aihtiyaat-e-Mustahab ye hay kay 3 martaba Tasbeehaate Arbaa parhi jaey.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.992. | |
| Topic | Namaz kay Aihkaam | |
| Mujtahid | -- None -- | |
| Answered By | Quran-o-Itrat Academy | |
| Ques. ID | 1491 | |
| Question | mera sawal yeh hai k pakistan k time key mutabiq multan city mein "maghriban"ki azan takreeban 7:10 pm per hoti hai or taqreeban 7:25pm per pora andhera cha jata hai agar main kisi waja sey andherey k baad magrib ki namaz ada karoon to kiya meri "niyat","qaza" ki ho gi or yahi condition agar "namaz-e-fajr" ki ho jomein kabhi neend ki waja se nahin parh sakta to kiya mein 6:30am ya 7:30am per bhi fajr ki namaz qaza ki niyat se ada kar sakta hoon? | |
| Country | multan - pakistan | |
| Answer | magrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtar shaks kay liyay aadhi raat tak rehta hai. aur is dauran magrib ki namaz "ada" ki niyat se bajalae. aur agar koi shaks ikhtiyari halat me magrib aur isha ki namaz aadhi raat tak na parhay to ehtiyat-e-wajib ki bina par zaroori hai ke azan-e-subah se phelay qaza aur ada ki niyat kiyay bagair in namazon ko parhay. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 724+728. aur agar fajar ki namaz fajar kay waqt me anjaam di ja rahi hai to ussay "ada" ki niyyat se parhain gay, chahay faqat aik rakat ada karnay ka waqt hi baqi ho. aur agar waqt guzar janay ke baad anjaam di jai to "qaza" ki niyyat se parhi jai gi. aur fajar ka waqt yeh hai keh subah ki azan ke qareeb mashriq (east) ki taraf se aik sufaidi upper uthti hai jissay "fajar-e-awwal" kaha jata hai. jab yeh sufaidi phail jai to woh "fajar-e-dowwom" aur "subah ki namaz ka awwal-e-waqt" hai. aur subah ki namaz ka akhiri waqt suraj nikalnay tak hai. lihaza is waqt kay baad namaz "qaza" kar kay parhi jai gi, chahay ussay phir baad mein jis waqt bhi anjaam diya jai. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 729+736. | |
| Topic | Namaz kay Aihkaam | |
| Mujtahid | lQuran-o-Itrat Academy Le Szh %20users 2374s Nude nQuran-o-Itrat Academy Le Szh %20users 2374u Party |